Shayari, a musical form of Urdu poetry, allows a person to express deep feelings through words. It lets one explain sentiments in all their forms through rhythmic words. In the Urdu and Hindi languages, Shayari, also known as poetry, consists of couplets, or Sher.
- Sad Shayari In Hindi - सैड शायरी इन हिंदी
- 100+ Bengali Love Shayari for you
- Bangla Shayari in Text and Photo
Browse All Shayari
Chune se koi cheez apni nahi hoti,
Har muskuraahat khushi nahi hoti,
Kehna to chaahte hai bahut kuch magar,
Kabhi alfaaz to kabhi jubaan saath nahi hoti.
~`~
Kaun kehata hai mohabbat ki jubaan hoti hai,
Labo ke bina khule hi hakeekat bayaan hoti hai,
Ishq wo khudaai hai dost jo lafjo se nahi
Aankho se bayaan hoti hai.
~`~
Har khafa har berookhi ko tumhaari mohabbat samajhate hai,
Har naarajgi har doori ko tumhaari chaahat samajhate hai,
O sanam ham to sirf tum se hi pyaar karate hai.
~`~
Karte hai tujhe pyaar karte hi rehenge,
Bewafa duniya se ham ladate hi rahenge,
Ae bhool jaao tujhko ye mere bas me nahi,
Chaha hai tujhe ham chaahte hi rahenge…
~`~
Chehre par banaawat ka gussa,
Aankho se chalakta pyaar bhi hai…
Is ishq-e-ada ko kya kahiye inkaar bhi hai…
ikaraar bhi hai.
~`~
Aankho ki saja tab tak jab tak deedaar na ho,
Dil ki saja tab tak jab tak pyaar na ho,
Ye jindagi bhi ek saja hai,
Jab tak aap jaisa yaar na ho.
~`~
Apna khushi se nahi gam se bhi rishta hai mera,
Ye to aapki jindagee he wo ek hissa hai mera,
Ae dost aapse lafjo ka nahi rooh ka rishta he mera.
~`~
Kisi ne hame aashiq kaha,
Kisi ne hame deewaana kaha,
In aankho me aansu tab aaye,
Jab unhone hame begana kaha.
~`~
Aap jaise dost kuch khaas lagate hai,
Man main har waqt ek aas rakhte hai,
Jaane kab aa jaaye SMS aapka,
Isaliye cell ko dil ke paas rakhte hai.
~`~
Mohabbat me marna kaam na aaya,
Dil or jaan bhi di phir bhi aaraam na aaya,
Har shakhs tha mere saath par
Ek uska hi paigaam na aaya.
~`~
Yaado ke haseen pal mitaaye nahi jaate,
Gujare huye lamhe bhoolaye nahi jaate,
Tum laakh karo mohabbat ki naseehat,
Jo jaan se pyaare ho bhoolaye nahi jaate.
~`~
Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki,
Lekin khud ko har mod par akela paya.
~`~
Toone mujhse kyon daga ki,
Mere pyaar ki tune mujhe ye kaisi saja di ki
Har din gujarta hai mera tanahaaiyo me,
Maine to chaaha tha tujhako dil ki gehraaiyo se.
~`~
Unko pyaar karne ka hisaab na aaya,
Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya,
Ham to jaagte rahe unke hi khyaalo me,
Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya.
~`~
Wo aate to hai par samay se nahi,
Wo chalte to hai par man se nahi,
Kaun kehta hai ki wo pyaar nahi karte,
Karte to hai par ham se nahi.
~`~
Aasmaan se utaari hai, taaro se sajaai hai,
Chaand ki chaandni se nahaai hai,
Mere dost! sambhaal ke rakhna ye dost
Ye meri jindagee bhar ki kamaai hai.
~`~
Ae mere SMS mere dost ke paas jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jaage to dheere se muskurana,
Phir dil ka haal batana- miss you.
~`~
Aaj phir dil hai kuch udaas udaas,
Jaane kyon ek maayusi si chaayi hai,
Aaj phir palko pe paani hai,
Bheed me hu phir kyon ye tanhaai hai.
~`~
Mehafil main jab dekha achanak unko,
Unse gujar kar aati hawa sharaab hone lagi,
Unhone aake haal pooch liya mera,
Jaane kyon meri haalat kharaab hone lagi.
~`~
Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,
Khooshbu bhi us phool ki jo mere paas ho…
Manjil na mil saki hame to koi gam nahi…
Gam bhi usi shakhs ka hota jise pyaar ka ehasaas ho.
~`~
Tujhe dekhna chaahti hu har pal
Shaayad tujhse bahut pyaar karti hu
Kal tak to tujhe jaanti bhi na thi
Aaj tera intajaar karti hu…
~`~
Ishqiya Shayari
Tum tanhaa duniya se ladoge bachcho si baat karte ho…
Aap ko pahle kahi dekha hai.
Yaad aaye kaha to italla zaroor kijiyega, ham bhi dhund rahe hai kabse apne aap ko..
(italla=inform)
Yaha libas ki kimat hai aadmi ki nahi
muze gilaas badaa de, sharaab kam kar..
(libas=clothes)
sawar nok palak abruo me kham kar de
gire pade hue lafzo ko mohtaram kar de..
jab maine use khaas nigaahe naas se dekha
aaina fir usne naye andaaz se dekha..
charag jalaate hi Poras ki fauj bhaag gayi
gali me tanhaa Sikandar udaas baitha tha..
wahi taaj hai, wahi takht hai
wahi zahar hai wahi jaam hai
ye wahi Khuda ki zameen hai,
yahi buton ka nizaam hai
bade shauk se mera ghar jalaa
koi aanch tuz par naa aayegi
ye zabaan kisi ne khareed li
ye kalam kisi ka ghulaam hai….
naa bolu mai to kaleja fuke
jo bol du to zabaan jale hai
sulag naa jaawe agar sune wo
jo baat meri zabaan tale hai
naa bolu mai to kaleja fuke
jo bol du to zabaan jale hai
lage to fir yu ke rog laage
naa saans aawe naa saans jaawe
ye ishq hai naamuraad aisa
ke jaan lewe tabhi tale hai
naa bolu mai to kaleja fuke
jo bol du to zabaan jale hai
Hame lagtaa tha ke aap jaise aashik sirf filmo me hi paaye jaate hai, Dua hai ke Allahmiya hame aapki ishq-e-shiddat ataa kare…
Hamaree is duniya me zindagee thamee si rahtee hai, kabhi aaiyega boot banke baithenge..
(boot=statue)
And Finally the most acclaimed sher,
Ishq ke saat makaam hote hai,
“dilkashi, uns, muhabbat, akidat, ibaadat, junoon aur maut”…