Yeh Dil Aur Unki Nigahon Ke Saye – Movie Prem Parbat Song By Lata Mangeshkar

Yeh dil aur unki, nigaahon ke saaye
Yeh dil aur unki, nigaahon ke saaye
Yeh dil aur unki, nigaahon ke saaye
Mujhe gher lete, hain baahon ke saaye
Mujhe gher lete, hain baahon ke saaye

Pahadon ko chanchal, kiran choomti hai
Pahadon ko chanchal, kiran choomti hai
Hawaa har nadi ka badan choomti hai
Hawaa har nadi ka badan choomti hai

Yahan se wahan tak, hain chahon ke saaye
Yahan se wahan tak, hain chahon ke saaye
Yeh dil aur unki, nigaahon ke saaye
Mujhe gher lete, hain baahon ke saaye
Mujhe gher lete, hain baahon ke saaye

Lipatte ye pedon se, baadal ghanere
Lipatte ye pedon se, baadal ghanere
Ye pal pal ujaale, ye pal pal andhere
Ye pal pal ujaale, ye pal pal andhere
Bahut thande thande, hain raahon ke saaye
Bahut thande thande, hain raahon ke saaye
Yeh dil aur unki, nigaahon ke saaye
Mujhe gher lete, hain baahon ke saaye
Mujhe gher lete, hain baahon ke saaye
Lalalala

Dhadakte hain dil kitni, aazaadiyon se
Dhadakte hain dil kitni, aazaadiyon se
Bahut milte julte, hain in waadiyon se
Bahut milte julte, hain in waadiyon se
Muhabbat ki rangeen panahon ke saaye
Muhabbat ki rangeen panahon ke saaye
Yeh dil aur unki, nigaahon ke saaye
Mujhe gher lete, hain baahon ke saaye
Mujhe gher lete, hain baahon ke saaye
Lalala hmm hmm laalala.

Advertising

Yeh Dil Aur Unki Nigahon Ke Saye Lyrics In Hindi

ये दिल और उनकी, निगाहों के साये
मुझे घेर लेते, हैं बाहों के साये

पहाड़ों को चंचल, किरन चूमती है
हवा हर नदी का बदन चूमती है
यहाँ से वहाँ तक, हैं चाहों के साये
ये दिल और उनकी निगाहों के साये …

लिपटते ये पेड़ों से, बादल घनेरे
ये पल पल उजाले, ये पल पल अंधेरे
बहुत ठंडे ठंडे, हैं राहों के साये
ये दिल और उनकी निगाहों के साये …

धड़कते हैं दिल कितनी, आज़ादियों से
बहुत मिलते जुलते, हैं इन वादियों से
मुहब्बत की रंगीं पनाहों के साये
ये दिल और उनकी निगाहों के साये …