Ek Pyar Ka Naghma Hai (Happy) – Movie Shor Song By Lata Mangeshkar, Mukesh

Ek pyaar kaa naghamaa hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai..
Kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai
Jeevan ka matalab to, aanaa aur jaanaa hai
Do pal ke jeevan se, ek umr churaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar ka naghamaa hai

Tu dhaar hai nadiyaa ki, main teraa kinaaraa hoon
Tu meraa sahaaraa hai, main teraa sahaaraa hoon
Aankhon men samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar kaa naghamaa hai

Toofaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai
Baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar dhal jaanaa hai
Parachhaainyaan rah jaatin, rah jaati nishaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar kaa naghamaa hai


Ek Pyar Ka Naghma Hai (Happy) Lyrics In Hindi

एक प्यार का नग़मा है, मौजों की रवानी है
ज़िंदगी और कुछ भी नहीं, तेरी मेरी कहानी है

कुछ पाकर खोना है, कुछ खोकर पाना है
जीवन का मतलब तो, आना और जाना है
दो पल के जीवन से, एक उम्र चुरानी है
ज़िंदगी और…

Advertising

तू धार है नदिया की, मैं तेरा किनारा हूँ
तू मेरा सहारा है, मैं तेरा सहारा हूँ
आँखों में समंदर है, आशाओं का पानी है
ज़िंदगी और…

तूफ़ान तो आना है, आकर चले जाना है
बादल है ये कुछ पल का, छाकर ढल जाना है
परछाइंयाँ रह जातीं, रह जाती निशानी है
ज़िंदगी और…

जो दिल को तसल्ली दे, वो साज़ उठा लाओ
दम घुटने से पहले ही, आवाज़ उठा लाओ
खुशियों की तमन्ना है, अश्कों की रवानी है
ज़िंदगी और…